Pradhanmantri Narendra Modi ne Pariksha Pe Charcha 2025 ke pahle episode mein Delhi ke mashhur Sundar nursery mein chhatron ke sath tips sajha kiye. PM Modi ke anusar teamwork Vishwas ho jaega Ek achcha neta banne ke pramukh tatv hain, halanki neta banne ke liye sabse pahli aur sabse mahatvpurn karte hain.
Iske liye aapko khud ko badalna hoga. Neta banne ke liye teamwork sikhana bahut jaruri hai. Dhairya aur Vishwas Arjeet karna bahut jaruri hai. Unhone chhatron se kaha, Chhatron se yah poochhne par ke neta ki paribhasha kya hai?
PM Modi nashte hue kaha, “Yah kurta pyjama jacket pahne hue vibhinn manchon par bhashan dene wala vyakti hai.”. Agar koi neta banta hai, to uska kam dusron ki galti ko sudharna nahin hai. Uska kam khud ko ek udaharan banana hai, unhone kaha.
Class monitor ka udaharan dete hue PM Modi Ne kaha agar sabhi ko samay per aana hai lekin class monitor khud niyamon ka palan nahin karta Hai To Kya uski koi baat sunega nahin lekin udaharan ke liye agar Kisi teacher ne aapko homework Diya Hai class monitor use pahle pura karta hai aur 200 ki madad bhi karta hai to ek achcha student hai aur monitor hai
Agar aap swachhata Ka updesh de rahe hain lekin gandgi faila rahe hain to aap neta nahin ho sakte Neta banane ke liye teamwork Ke saath-saath samajhdari udharviy Bhi jaruri hai aapko Apne sathiyon ke liye maujud rahana hoga aur isase Vishwas paida hoga yah Vishwas aapke netrutva ko sunishchit Karega unhone kaha
PM Modi Ne chhatron Se yah bhi kaha ki “Samman Manga nahin Ja sakta balki ise Arjit karna padta hai.”
Aaj subah 11:00 baje se Pariksha pe charcha shuru hogi aur yah 8 episode mein Karai Jayegi
Pariksha Pe Charcha 2025 karyakram mein Kai mashhur hastiya Shamil honge Jaise Bollywood se abhineta Deepika Padukone, Vikrant mein se aur Bhumi padhne ka aadhyatmik neta sadguru Jaggi Vasudev, boxer Mary Kom, athlete Avni lekhra, nutritionist rajuta diwekar, food Pharma Hemant Singh ka aur takniki guruji Gaurav Chaudhari bhi Shamil honge
2018 mein shuru Kiya Gaya Pariksha Pe charcha har sal kaksha 6 se 12 Tak ke chhatron ko Pariksha ke tanav aur dabav se ubharne mein madad karne ke liye aayojit Kiya jata Hai karykram Ke dauran pratibhagiyon ko Pradhanmantri se sawal poochhne ka mauka milta Hai
Pariksha Pe charcha 2025 ke liye online panjikaran 14 December 2024 ko shuru hua aur 14 January 2025 ka samapt Ho Gaya Tha
Is sal har EK rajya aur har EK Kendra shasit Pradesh Se 36 chhatron ko sidhe pm Narendra Modi se judne ke liye chuna Gaya is aayojan Ne Bharat aur videsh se chhatron shikshakon aur abhibhavakon ki or se 5 karod se adhik panjikaran ke sath ek adbhut uplabdhi hasil ki hai